Poem #1
Adalat ke kaagazon par karne dastakhat thi vo aayi,
Soona tha dil, ungliyan aur kalaayi,
Par saanse kuch majboot thi,
Aankhein kuch namkin,
Aazadi mil rhi thi, maano,
Khubsurat aur behtareen,
Na darr tha ab, na tha rishta,
Chodd di vo galiyan, to kaahe ka darr,
Ab jeeni hai zindagi, har pal khushal hokar,
Zindagi ne kiya vaada, toh todne na denge,
Khush rehna hai ab, khushi ko choddne na denge,
Jeena hai aise,
Ki hoga acche pe yakin,
Na aankhein hongi nam, na zindagi ghumgeen.
Vaada hai zindagi se, paalan karenge,
Khushiyan kam na ho, ibadat karenge,
Ab jeeni hai zindagi, har pal khush hokar
Saath hai ab khud ka, kisi aur ka na hokar!
Recent Comments